Sound of the Soul
Aalam kuch aisa hai is dil ka
Majaal hai jaaye ye behal,
Baithe hain bas issi intezaar mein
Kabhi wo bhi to karen pehel.
Haaledil jo bayaan karte hain
Maano gehraiyon mein dabe raaz kholte hain,
Jaan nikal rahi hai idhar reh rehke
Aur wo baat hansi mein taal dete hain.
Neend nahi aati to khud se baat karte hain
Jaante hain khairiyat nahi par kissi tarah samjha lete hain,
Maaloom hai jahan mukammal na mil paayega
Nadaan dil magar chaah karta hi jaayega.
Hamen khayalon mein to unhe apna kehne do
Dil ke armaanon ko khulke bikharne do,
Jaane kab qayaamat se mulaqaat ho jaaye
Ek aakhri salaam hi kehne do.

Comments